Saturday, 30 November 2013

DIL TOH BACHCHA HAI JI !!

Khamoshiyon ki aahat kaanon ko kuch iss tarah chhu jati hain,
Jaise sagar ki leharein kinaron se lipat kar usey tanha, tadapta chhod jati hain.
Har pal aas lagi rahti hai uss ek lehar, ek pal, ke laut aane ki,
Uss ehsaas ko wapas mahsoos kar pane ki.
Par jo leharein simat gayin hain sagar mein, jo lamhein kho gaye hain waqt ki gahraiyon mein,
Unhein toh Khuda bhi nahin lauta sake kabhi,
Toh phir iss nacheez dil ki kya bisaat jo badal de rekha kismat ki.

Chahat ki aankhein kholne ki, chahat ki kuchh bolne ki,
Chahat ki kuchh chahne ki, apna ek jahan banane ki,
Chahat ki duniya sawaarne ki, duniya ko ek naya nazariya dene ki,
Ek chahat ki khul kar udane ki, unche aasmaan ko chhune ki,
Chahat ki zindagi jeene ki ... ya shayad ... zinda hone ki ...

Par bhool gayi ki ye "Chahat" toh khwaab hai unche mahalon ka,
Jo ret ke teelon par hon khade unhein haq hi nahi ghar banane ka.

Kismat aur khwaab mein hai koi zyada fark nahi,
Jo dekh liya wo khwaab ho gaya aur andekhe ko kismat kah diya.
Par baat toh ek hi rah gayi dono mein, ki,
Inke pura hone mein hai insaan ka koi zor nahi.

Par phir bhi dil ne chahat ki,
Ek khwaab sanjone ki gustakhi ki,
Kismat se lad kar uss khwaab ko pura karne ki chahat ki,
Chahat ki khamoshiyon ki aahat sunne ki,
Waqt ke aage tan kar lamhon ko kaid karne ki,
Chahat ki zinda hone ki aur zindagi jeene ki ...
Tabhi kisi ne awaaz lagaya, aur, phir yaad aaya ki ...

Dil toh bachcha hai ji ...

JAANE KAHAN UN RAAHGUZARON KI AWAAZ KHO GAYI HAI

Andhere khwaab, andheri raahein, andheri manzil ho gayi hai,
Jaane kahan iss dil ki saakh kho gayi hai.
Fakra karte the jin par kabhi, jaan lutaane tak ko the taiyaar,
Jaane kahan un raahguzaron ki awaaz kho gayi hai.

Abhi to jeena shuru kiya tha, abhi toh kuch kadam hi chale the,
Raah ke phool aur kaanton ko apne daaman mein samet rahe the.
Jo jaante ki anjaam kya hoga toh shayad hum sambhal bhi jaate,
Phool aur kaanton mein fark karna kabhi toh hum bhi seekh jaate.
Magar ab yun lagta hai jaise zindagi ki shaam ho gayi hai,
Jaane kahan un raahguzaron ki awaaz kho gayi hai.

Jis Khuda ne jaan diya, naam diya, pehchaan diya,
Us Khuda ki rehmat ko kyun tumne badnaam kiya.
Kya gunaah kiya tha usne jo tumko apna jaan liya,
Gardish mein jo jaate dekha tumhein daant-fatkaar diya.
Ye dekhkar uski aankhein bhi toh ab nam ho gayi hain,
Jaane kahan un raahguzaron ki awaaz kho gayi hai.

Aaina bhi ab puchhta hai mujhse 'Tu aisi kyun ho gayi hai?'
Arey pagli ! ye toh dastoor hai iss jahan ka,
Dua dene wale ko sada yahan baddua hi mili hai.
Jaan le ab iss jahan ko tu bhi, pahchan le duniya walon ko,
Jinke liye teri ahmiyat, in rishton ki kimat kho gayi hai,
Kya hua gar jo un raahguzaron ki awaaz kho gayi hai.